Sharan Mein Aaye Hain Hum Tumhare

Sharan mein aaye hain hum tumhare
daya karo he dayalu bhagwan
banao bigadi dasha humari
daya karo hey dayalu bhagwan
Sharan mein aaye hain hum tumhare
daya karo he dayalu bhagwan
na hum me gun hai, na humme shakti
Na hum me saadhan, na hum me bhakti
tumhare charno ke hum poojari
Sharan mein aaye hain hum tumhare
daya karo he dayalu bhagwan
pradan kar do tum apni bhakti
tumhare dar ke hain hum bhikhari
daya karo hey dayalu bhagwan
Sharan mein aaye hain hum tumhare
daya karo he dayalu bhagwan
Bhale jo hai hum to bhi tumhare
bure jo hai hum to bhi tumhare
bana do bigdi dasah hamari
Daya Karo hey Dayalu bhagwan
Hame to bas tek naam ki hai
pookar ye bhagwan naam ki hai
Tere dware ke hai hum bhikhari
Daya karo hey Dayalu bhagavan